Thursday, June 19, 2008

Lyrics of Kishore Kumar's Superhit Songs

For all the Kishore Kumar's crazy Fans. Here is the Lyrics of some memorable hits of Kishore da. dear crazy singers get favourite song's Lyrics here and enjoy with your Karaoke, feel Kishore's Andaaz.........

Romantic Mood

Year: 1982
Song: Sanam Teri Kasam
Music: R.D. Burman, Film: Sanam Teri Kasam

Ku kuuuuuuuu................
(Kitne bhi tu karle sitam, hans hans ke sahenge hum-2,1
Ye pyar na hoga kam, Sanam Teri Kasam
Ho O o oo Sanam teri Kasam, Sanam teri kasam) ......2

(Jitna tadpaayegi mujhko, utna hi tadpegi tu bhi
Jo aaj hai arzoo meri, woh kal teri arzoo hogi) .......2
Yeh jhooth nahi sach hai sanam, Sanam Teri Kasam
Ho O o oo Sanam teri Kasam, Sanam teri Kasam

Ku kuuuuuuu.......
(Nafrat se dekh na pehle, andaaz pyar ka hai ye
Kuchh hai aankhon ka rishta, gussa ikraar ka hai yeh) .......2
Bada pyara hai tera zulam, sanam teri kasam
Ho O o oo sanam teri kasam, sanam teri kasam

Kitne bhi tu karle sitam, hans hans ke sahenge hum-2
yeh pyar na hoga kam, sanam teri kasam
Ho O o oo sanam teri kasam, sanam teri kasam

Year: 1975
Song: Dil kya kare
Music: Rajesh Roshan, Film: Julie

Dil kya kare jab kisi se, kisi ko pyar ho jaaye
jaane kahan kab kisiko, kisi se pyar ho jaaye
unchi unchi deewaron si, is duniya ki rasme
ho na kuchh tere bas me juli, na kuchh mere bas me
Dil kya kare jab kisi se, kisi ko pyar ho jaaye
jaane kahan kab kisiko, kisi se pyar ho jaaye

(jaise parvat pe ghata jhukti hai
jaise sagar se leher uthti hai
aise kisi chehre pe nigaah rukti hai) ....2
Ho..rok nahi sakti nazron ko duniya bhar ki rasme
na kuchh tere bas me juli, na kuchh mere bas me
Dil kya kare jab kisi se, kisi ko pyar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko, kisi se pyar ho jaaye

(Aa mai tere yaad me sabko bhulaadu
duniya ko teri tasveer bana doon
mera bas chale to dil cheer ke dikhadun) ...2
Ho..daud raha hai saath lahu ke pyar tera nas nas me
na kuchh tere bas me juli, na kuchh mere bas me

Dil kya kare jab kisi se, kisi ko pyar ho jaaye
jaane kahan kab kisi ko, kisi se pyar ho jaaye
unchi unchi deewaron si, is duniya ki rasme
ho na kuchh tere bas me juli, na kuchh mere bas me
Dil kya kare jab kisi se, kisi ko pyar ho jaaye
jaane kahan kab kisi, ko kisi se pyar ho jaaye

Year: 1985
Song: Saagar jaisi
Music: R.D. Burman, Film: Saagar

Ho..(Chehra hai ya chand khila hai, zulf ghaneri shaam hai kya
saagar jaisi aankho wali yeh to bata tera naam hai kya)....2
Are tu kya jaane, teri khatir kitna hai betaab yeh dil
tu kya jaane, dekh raha hai kaise kaise khaab yeh dil

dil kehta hai, tu hai yahan to jaata lamha tham jaaye
waqt ka dariya behte behte, is manzar me jam jaaye
tune deewana dil ko banaya, is dil par ilzaam hai kya
sagar jaisi aankho wali yeh to bata tera naam hai kya

Ho aaj mai tujhse door sahi aur tu mujhse anjaan sahi
tera saath nahi paaun to gair tera armaan sahi

Ho yeh armaan hai, shor nahi ho, khamoshi ke mele ho
is duniya me koi nahi ho, hum dono hi akele ho
tere sapne dekh raha hoon, aur mera ab kaam hai kya
sagar jaisi aankho wali, yeh to bata tera naam hai kya
Chehra hai ya chand khila hai, zulf ghaneri shaam hai kya
saagar jaisi aankho wali, yeh to bata tera naam hai kya

Year: 1983
Song: Neele Neele Ambar par
Music: Kalyanji Anandji, Film: Kalakaar

(Neele neele ambar par, chand jab aaye
Pyar barsaaye, Hum ko tarsaaye
Aisa koi saathi ho, aisa koi premi ho
pyas dil ki bujhaa jaaye) ..........2
Neele neele ambar par chand jab aaye
pyar barsaaye hum ko tarsaaye

Ho (unche unche parvat jab chumte hai, ambar ko
pyasa pyasa ambar jab chumta hai sagar ko) ........2
Pyaar se kasne ko baahon me basne ko
dil mera lalchaaye, koi to aa jaaye
aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
pyas dil ki bujhaa jaaye
Neele neele ambar par chand jab aaye
pyaar barsaaye humko tarsaaye

Ho (thande thande jhonke jab balon ko sehlaayen
tapti tapti kirne jab gaalon ko chhu jaayen) ........2
saanso ki garmi ko haathon ki narmi ko
mera man tarsaaye koi to chhu jaaye
aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
pyaas dil ki bujhaa jaaye
Neele neele ambar par chand jab aaye
pyar barsaaye hum ko tarsaaye

Hey (chham chham karta sawan bundon ke baan chalaye
satrangi barsaaton me jab tan man bheega jaaye) .........2
pyaar me nahaane ko, doob hi jaane ko
dil mera tadpaaye, khab jaga jaaye
aisa koi saathi ho aisa koi premi ho
pyaas dil ki bujhaa jaaye
Neele neele ambar par chand jab aaye
pyaar barsaaye hum ko tarsaaye
la la la la la la, la la la la la la, la la la la la la, la la la la la

Year : 1979
Song : haan pehli baar
Music: Bappi Lahri , Film: Aur Kaun

(Hmm Pehli baar, haan pehli baar
ek ladki mera haath pakad kar boli, haan re haan) .........2
Haan pehli baar

(Kisi ko na pata chala, kya ho gaya
aise mili nazre ki dil kho gaya) ............2
(chupke se woh pehlu me aa) .......2
boli mujhe aa re aa
Haan pehli baar, haan pehli baar, ek ladki
mera haath pakad kar boli haan re haan
haan pehli baar

(nasha aankho me ab chhane laga hai
maza jine ka ab aane laga hai) ........2
(saath hai woh paas hai woh) ......2
Aaj nahi, na re na
haan pehli baar, haan pehli baar, ek ladki
mera haath pakad kar boli haan re haan
haan pehli baar

(Saanso me saans jab mil jaayegi
Kali sapno ki khil jaayegi) .......2
(kal ka mujhe yaad nahi) .......2
aaj ki baat wah re wah
(haan pehli baar, haan pehli baar, ek ladki
mera haath pakad kar boli haan re haan) ..........2
haan pehli baar

No comments: